21 April 2010

Day 3, Home, Jabalpur (M.P.)

Hi Doston...
Yaaron aaj mood thoda udaas hai. Karan to mujhe pata hai lekin wo main yaha nahi likh sakta. Subah se hi thode halke-phulke jhatke mil rahe hain. Ek baat school se related hai, Ek us job se jo main chodna chahta hun lekin samajh nahi aata ki kaise chodun. Wo 'JOB' aaj bhi mere saamne YAKSH PRASHN ki tareh khada hai... Saanp-Chachundar wali stithi ho gayee hai meri. Bahut mushkil main hun. Agar main job chodta hun to usse Papa ke business ko nuksaan ho sakta hai aur agar nahi chodta hun to 3-4 saal to main saza (haan, aapne sahi padha - SAZA) bhugat hi raha hun. Har waqt ek talwar si latak rahi hai mere sir par. Aur meri is uljhan ko suljhane ka tareeka kisi ke bhi paas nahi hai... kisi ke bhi... Upar se 30 wale show ki bhi ab tension hai... Casting ko lekar...
Aaj subah se jo 3-4 achchi baaten hui han wo is prakar han : (1) Subah 6 baje uthkar stadium gaya running ke liye, (2) Phir wahin par Anuloam-Vilom Pranayam kiya, (3) Ghar akar 'Jal Neti' ki, (4) Ticket Design kiya, (5) School ke banner print hone diye.
Jab se rehearsal se lauta hun, kisi kaam main man nahi lag raha hai, chup-chup sa baitha hun. Aur abhi kuch der pehle, wohi 'JOB' wale boss ka kuch msg aaya, usse to aur bhi dimag ka bheja fry ho gaya. 13 maheno se meri salary nahi di hai - 40000/- (3000/- per month ke hisaab se)... aur pichle 3-4 saalon main mera jo karodon (Crores) ka khoon jal gaya hai uska kya... Uska koi hisaab nahi. Kya karun saala, mana bhi nahi kar sakta filhal. Jab log (sabhi log) mujhe is tareh se pareshaan karte han to mujhe ek sher yaad aata hai :

"Hamara khoon bhi kitna tha, chand katre the
Magar azeez the pyaase to talte kaise..."


Jab bhi mujhe koi tension hoti hai to :

"Jab jab gam-e-zindagi ka hisaab karta hun,
Tab tab use yaad behisaab karta hun..."

Ab ek line meri 'PRERNA' ke liye, agar wo ise padh rahi ho to padh le :

"Unhi raaston ne jin par kabhi wo thi saath mere,
Mujhe rok rok poocha tera humsafar kahan hai..."

Achcha doston, aaj kuch zyada nahi hai mere paas likhne ko... Alvida

No comments:

Post a Comment